main siyah-ru apne khaliq se jo neamat mangta apna munh dhone ko pahle aab-e-khajlat mangta mere rukhe-sukhe tukde mujh ko kar dete hain ser khak bhar deta falak munh mein jo neamat mangta khalq par hoti jo aadab-e-shahadat aashkar murgh-e-bismil bhi tadapne ki ijazat mangta rahm ham-afat-rasidon par jo karta aasman sans lene ki hujum-e-gham mein mohlat mangta rolta moti jo karta kisht-kari khair ki hun barasta main agar baran-e-rahmat mangta past-bakhti ne mujhe mahfuz rakkha shukr hai tut padta aasman sar par jo rifat mangta qadr mere gauhar-e-dil ki kuchh us but ne na ki but-kada lilam hota main jo qimat mangta ek bosa mangne par yar ka rukh phir gaya jaan main deta agar wo be-murawwat mangta main agar aazadgi mein sarw ko karta murid tera guldasta sa qad tuba se baiat mangta dekh pata kushtagan-e-ishq ka rutba agar pani pi pi kar khizar jam-e-shahadat mangta dil mein padte zakhm agar gulzar ki karta hawas main lahu rota agar baran-e-rahmat mangta kab raha simab jab simab chandi ho gaya qalb mahiyyat meri hoti jo daulat mangta kya khabar thi subh ho jaegi tere nur se sham se mera charagh-e-khana rukhsat mangta aankh jhuk jati nazar aata agar tu khwab mein tere khal-e-rukh se yusuf dagh-e-hasrat mangta khaiye kyunkar niwale motiyon ke ai hawas tair-e-dil hans ki ai kash qismat mangta josh-e-wahshat le chala itni na mohlat de mujhe koh-o-sahra ke azizon se tu rukhsat mangta dushmani rakhta hai arbab-e-manash se aasman hath malta umr-bhar dam-bhar jo rahat mangta be diye mumkin nahin duniya mein ho ijra-e-kar aamilon se ism-e-azam bhi hai dawat mangta khun-e-ashiq par kamar bandhe hue hain khub-ru tegh-e-misri halq par hoti jo sharbat mangta kya khabar thi aasiyon ki bhi dua maqbul hai 'bahr' duniya ke bakhede se faraghat mangta