hu ka aalam hai yahan nala-garon ke hote shahr khamosh hai shorida-saron ke hote kyun shikasta hai tera rang mata-e-sad-rang aur phir apne hi khunin-jigron ke hote kar-e-faryaad-o-fughan kis liye mauquf hua tere kuche mein tere ba-hunron ke hote kiya diwanon ne tere kuch hai basti se kiya warna sunsan hon rahen nigharon ke hote juz saza aur ho shayad koi maqsud un ka ja ke zindan mein jo rahte hain gharon ke hote shahr ka kaam hua fart-e-hifazat se tamam aur chhalni hue sine siparon ke hote apne sauda-zadagan se ye kaha hai us ne chal ke ab aaiyo pairon pe saron ke hote ab jo rishton mein bandha hun to khula hai mujh par kab parind ud nahin pate hain paron ke hote