hai be-khud wasl mein dil hijr mein muztar siwa hoga khushi jis ghar ki aisi hai wahan ka ranj kya hoga abhi to yar se kahne ki dil mein baaten hain lakhon na kuchh yaad aaega us waqt jis dam samna hoga mere madfan ki mitti ka wo khichwaenge itr aksar agar bu-e-wafa ka un ke dil mein kuchh maza hoga wo gesu badhte jate hain balaen hoti hain nazil qadam tak aa gae jab hashr aalam mein bapa hoga ghazab karte ho mere dil ko abru se chhudate ho bhala samjho to kyunkar gosht nakhun se juda hoga adam mein mera kya kya dam rukega ek muddat tak nai basti nai poshak hogi ghar naya hoga utara khun ke dariya se hoga sarfaroshon ka banegi tegh kashti aur qatil nakhuda hoga bayan tha roz-e-awwal ye mere dil ki udasi ka badi us ghar ki aabaadi ye hai matam-sara hoga khabar le baghban hai kis ghazab ka habs gulshan mein hawa hai band asiran-e-qafas ka dam ruka hoga mere sine se dil ke tutne ki kyun sada aai magar yan hath se saqi ke shisha gir pada hoga sitamgar aaega aksar khabar lene ko zindan mein hamein wo bediyan pahna ke paband-e-wafa hoga raqibon ki umidon ko jagah dete hain dil mein hum ki un mein se koi aakhir hamara muddaa hoga nahin hai jis mein tera ishq wo dil hai tabahi mein wo kashti dub jaegi na jis mein nakhuda hoga 'rashid' ulfat se jab waqif na the aksar ye kahte the na dil se hum juda honge na hum se dil juda hoga