tir-e-abru jab kaman tak aa gae un ki zad mein jism-o-jaan tak aa gae dagh sirat par lage the aur hum basti-e-surat-garan tak aa gae rafta rafta kam hua zabt-e-alam dard-e-jaan meri zaban tak aa gae hum ko bhi ek gul-badan ki chah thi hum bhi koi gulsitan tak aa gae manzil-e-maqsud bhi dikhne lagi hum jo mir-e-karwan tak aa gae yaad aaya jab hamein bachpan bahut hum khilaunon ki dukan tak aa gae qatilon ke pas thi daulat apar un ke haq mein hukmaran tak aa gae mausam-e-gul sirf yaadon mein hai ab umr guzri hum khizan tak aa gae