nekiyon ke zumre mein bhi ye kaam kar jao muskura ke thoda sa mere zakhm bhar jao kitne gham-badaman ho subh se pareshan ho sham aane wali hai ab utho sanwar jao zindagi jo karni hai muskura ke din kato warna sab se munh modo zahr kha ke mar jao go-mago mein zahmat hai sochna qayamat hai jis taraf kahe jazba be-dhadak udhar jao sach bhi ab fasana hai hae kya zamana hai sab ko phul do lekin aap be-samar jao wo bhi sahma sahma hai pyar ke nataej se behtarin mauqa hai tum bhi ek mukar jao main to raat katunga ghum-phir ke sadkon par koi muntazir hoga tum to apne ghar jao