hijr tanhai ke lamhon mein bahut bolta hai rang is ka kai rangon mein bahut bolta hai main use chup ke hawale se bhi kaise likkhun wo to aisa hai ki harfon mein bahut bolta hai ek lau hai ki sar-e-baam thirakti hai bahut ek diya hai ki darichon mein bahut bolta hai apni aawaz sunai nahin deti mujh ko ek sannata ki galiyon mein bahut bolta hai ek hi lai se hai manus mera tar-e-nafas ek hi sar mere kanon mein bahut bolta hai chat leti hai mera jism mere ped ki dhup mera saya bure waqton mein bahut bolta hai akasr auqat meri zat ka ek khali-pan meri tuti hui chizon mein bahut bolta hai dil mera us ki tarah phul ke manind hai 'qais' jo meri band kitabon mein bahut bolta hai