hai dil mein khayal-e-gul-e-rukhsar kisi ka daghon sin mohabbat ke hai gulzar kisi ka jata hai mera jaan nipat pyas lagi hai mangta hun zara sharbat-e-didar kisi ka sab par hai karam mujh pe sitam kya hai do-rangi dildar kisi ka hai dil-azar kisi ka zanjir bhali qaid bhali maut bhi jyun-tyun pan haq na kare kis kun giraftar kisi ka main hun to diwana pa kisi zulf ka nain hun wallah ki rakhta nahin yak tar kisi ka yak dam to ham-aghosh karo ai gul-e-khubi ho jaunga ab nain to gale haar kisi ka jhukta hai zara baad ke chalne mein zamin par nargis hai magar bagh hai bimar kisi ka lati hai khabar yar ki mauj-e-dam-e-shamshir kari hai magar dil mein mere war kisi ka har raat 'siraj' aatish-e-gham mein na jale kyun parwana-e-jaan-soz hai balhaar kisi ka