pachhtaoge phir hum se shararat nahin achchhi ye shokh-nigahi dam-e-rukhsat nahin achchhi sach ye hai ki ghar se tere jannat nahin achchhi huron ki tere samne surat nahin achchhi bhule se kaha man bhi lete hain kisi ka har baat mein takrar ki aadat nahin achchhi kyun kal ki tarah wasl mein tashwish hai itni tum aaj bhi kah do ki tabiat nahin achchhi jab itni samajh hai to samajh kyun nahin jate main bhi yahi kahta hun ki hujjat nahin achchhi huron ki taraf aankh utha kar bhi na dekha kyun ab bhi kahoge teri niyat nahin achchhi pahuncha hai qayamat mein bhi afsana-e-ulfat itni bhi kisi baat ki shohrat nahin achchhi hum aib samajhte hain har ek apne hunar ko kya kijiye majbur hain qismat nahin achchhi mil aaiye dekh aaiye aaj aap bhi ja kar 'bekhud' ki kai roz se haalat nahin achchhi