sawal ka jawab tha jawab ke sawal mein giraft-e-shor se chhute to khamushi ke jal mein bura ho aaine tera main kaun hun na khul saka mujhi ko pesh kar diya gaya meri misal mein baqa-talab thi zindagi shifa-talab tha zakhm-e-dil fana magar likhi gai hai bab-e-indimal mein kahin sabaat hai nahin ye kaenat hai nahin magar umid-e-did mein tasawwur-e-jamal mein qadim se hate to hum jadid mein ulajh gae nikal ke gardish-e-falak se mausamon ke jal mein