hai dukan-e-shauq bhari hui koi mehrban ho to le ke aa zar dagh-e-dil ka sawal hai koi naqd-e-jaan ho to le ke aa rahi ye faza to jiyenge kya koi ab bina-e-digar utha koi ho zamin to nikal use koi aasman ho to le ke aa jo ho zauq-e-dard ka ye saman to uchhaal de koi aasman tere dagh-e-dil mah-o-mehr mein kahin kahkashan ho to le ke aa ye hai sham mausam-e-dard ki ye hai subh chehra-e-zard ki hai bahaar par gham-e-zindagi koi dil-khizan ho to le ke aa ye safar hai manzil-e-shauq ka koi ham-safar koi ham-rahi kisi dil-shikasta ko sath le koi sargiran ho to le ke aa yunhi apne aap se guftugu jo rahi to phir na rahega tu koi ham-khayal talash kar koi ham-zaban ho to le ke aa zara khud se 'baqar'-e-be-nawa tu nikal ki tai ho moamla inhen mil ye log hain ahl-e-dil gham-e-raegan ho to le ke aa