na kunisht o kalisa se kaam hamein dar-e-dair na bait-e-haram se gharaz

na kunisht o kalisa se kaam hamein dar-e-dair na bait-e-haram se gharaz
ki azal se hamare sajdon ko rahi tere hi naqsh-e-qadam se gharaz

jo tu mahr hai to zarra hum hain tu bahr hai to qatra hum hain
tu surat hai hum aaina hamein tujh se gharaz tujhe hum se gharaz

na nashat-e-visal na hijr ka gham na khayal-e-bahaar na khauf-e-khizan
na saqar ka khatar hai na shauq-e-iram na sitam se hazar na karam se gharaz

rakha kucha-e-ishq mein jis ne qadam hua hazrat-e-ishq ka jis pe karam
use aap se bhi sarokar nahin jo gharaz hai to apne sanam se gharaz

teri yaad ho aur dil-e-bedam ho tera dard ho aur dil-e-bedam ho
'bedam' ko rahe tere gham se gharaz tere gham ko rahe 'bedam' se gharaz


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close