un ki rukhsat ek qayamat thi dam-e-izhaar-e-subh sham tak bachta nazar aata nahin bimar-e-subh mujh ko bhi ai shama ro le wasl ki shab hai akhir aur do aansu baha ai kushta-e-azar-e-subh kho diya tul-e-shab-e-furqat ne lutf-e-intizar dida-e-be-khwab ko hai hasrat-e-didar-e-subh wasl ki shab bujh gaya tha jo hamara dagh-e-dil mehr ban kar ab wahi hai turra-e-dastar-e-subh subh se pahle ulat di us ne chehre se naqab ab koi kafir bhi kar sakta nahin inkar-e-subh raat bhar meri zaban par sar-guzasht-e-sham-e-gham un ke lab hain aashna-e-lazzat-e-guftar-e-subh wasl ki be-lutfiyan bhi lutf se khali nahin raat bhar dil ko maza deti rahi takrar-e-subh id milne aaen wo gar id ka nikla hai chand sham aae sath le kar daulat-e-bedar-e-subh wasl mein hai apni qismat ki khalish bhi yaadgar daman-e-shab se ulajh jate hain aksar khar-e-subh de subuhi jald saqi ab nahin mah-e-siyam be-sabab kyun rah dekhen sham ki mai-khwar-e-subh dekhna kya jald guzri hai shab-e-wada 'nazar' wo idhar aae udhar zahir hue aasar-e-subh