hai naqsh-e-diram jo naqsh-e-pa hai aap aate to ghar diram-sira hai dil jalwa tera dikha raha hai shisha ye mera pari-numa hai sultan-e-jahan hai jo gada hai taimur har ek shikasta-pa hai insan bhi qudrat-e-khuda hai kya sang ko but bana diya hai shirin hai dahan karo shukr-e-khand hansne mein tumhaari ek maza hai mazmun parwane ban ke aaen shabdez-e-qalam charagh-pa hai yaran-e-guzasht-gan se hai uns zinda murdon pe mar raha hai aaya nahin khud-farosh mera goya mujhe mol le liya hai wo rashk-e-bahaar-o-ghairat-e-gul gul-gasht-e-chaman ko jo gaya hai gulzar hua hai pani pani bulbul pani ka bulbula hai jo chahiye ishq mein kiya wo hum mar gae kahiye marhaba hai hai jhuta kahun jo rast hai qad ye tausan-e-husn alif hua hai munh jis ne diya wo rizq dega goya ye dahan aasiya hai tauba ka na dar ho band yarab jab tak dar-e-mai-kada khula hai hai shisha-e-sabz garm qulqul tuti maston ka bolta hai kya jism hai saf us pari ka goya qadd-e-adam aaina hai begana koi nazar na aaya aaina bhi surat-ashna hai kya khauf-e-gunah 'wazir' ko ho hami sultan-e-ambiya hai