hoti hai mujh pe un ki inayat kabhi kabhi tasir jab dikhati hai ulfat kabhi kabhi hasil hui hai nur se zulmat kabhi kabhi hai un ke shukriye mein shikayat kabhi kabhi ai raushni-e-taba tu bar man bala shudi zillat-nasib hoti hai shohrat kabhi kabhi ghairon se iltifat to apnon se be-rukhi be-ja rahi hai un ki murawwat kabhi kabhi ranj-o-khushi ka dahr ne dekha hai imtizaj hoti hai qahqahon se bhi riqqat kabhi kabhi sach hai mizaj-e-yar talawwun-pasand hai ulfat kabhi kabhi hai adawat kabhi kabhi 'saqib' ka haal-e-zar wo sunte hi aae hain muzhda hai wasl ka shab-e-furqat kabhi kabhi