ho id ya moharram hum gham kiya karenge do roza dahr-e-dun mein matam kiya karenge mazmun darhami ka gesu ke bandhenge hum har dam mizaj apna barham kiya karenge us harf-e-na-shunu ki furqat mein chupke baithe hum apne dil se baaten har dam kiya karenge kanon tak us ke pahunche manind-e-zulf jab hum sargoshiyan sarasar baham kiya karenge wo zulf-o-rukh se apne kafur-o-mushk le kar tayyar zakhm-e-dil ka marham kiya karenge go talkh wo kahenge lab-ha-e-shakkarin se har dam dua magar hum ham-dam kiya karenge go khun ka qatra qatra dil se 'waqar' kam ho lekin sukhan sukhan se hum zam kiya karenge