hai jab tak dasht-paimai salamat rahegi aabla-pai salamat rahe jab tak ye binai salamat hamari khama-farsai salamat bahut sanwarenge sang o sar ke rishte junun ki kar-farmai salamat bahut hairan hain aaina-khane tere qamat ki zebai salamat sabhi hathon mein le kar sang aae khirad ki jalwa-arai salamat bahut dekhe bahaar-amez manzar teri yaadon ki ranai salamat hijab us ne kiya aasuda-e-gham ye andaz-e-masihai salamat