main akasr sochti hun zindagi ko kaun likkhega na main likkhun to phir is bebasi ko kaun likhega bahut masruf hain ahl-e-jahan harza-sarai mein ab aashob-e-sukhan mein be-hisi ko kaun likkhega kai sadiyan guzarin manzilon ke khoj mein phirte to phir mere siwa is gumrahi ko kaun likkhega hum is shahr-e-jafa-pesha se kuchh ummid kya rakkhen yahan is haw-hu mein khamushi ko kaun likkhega use fursat nahin sahil, samundar, mauj likhne se pareshan hun meri tishna-labi ko kaun likkhega 'hijab' is shahr-e-na-pursan mein sab jhagda ana ka hai surur-e-khud-parasti mein khudi ko kaun likkhega