hai jis ke dil mein khuda ki dahshat use kahan hai qaza ki dahshat mere charaghon mein hausla hai daraegi kya hawa ki dahshat wo zabta koi zabta hai chhupi ho jis mein ana ki dahshat hum haq ko apne zarur lenge nahin hai teri saza ki dahshat qadam qadam tum sanbhal ke chalna hai is nagar mein bala ki dahshat azab jaisa hai zard mausam gulon mein phir hai fana ki dahshat chhupae phirte hain munh andhere hai un mein kitni ziya ki dahshat khamosh ab bhi hain mere dushman hai un pe tari sada ki dahshat yazidiyon ke dilon mein 'shadan' hai aaj bhi karbala ki dahshat