ilzam be-sabab na kisi par dhara karen tahqiq apne taur pe bhi kar liya karen khud hi ghubar-e-rah dikhaenge rasta paida to aap dil mein zara hausla karen rukhsar-o-lab ki baat bahut ho chuki hai ab haalat-e-hazira pe koi tabsira karen ye baat doston ko bhi guzregi nagawar izhaar-e-dushmani na kabhi barmala karen tal jati hain musibaten is kar-e-khair se mohtajon be-nawaon ko sadqa diya karen nafrat ki tirgi ko mitane ke waste har chaar samt pyar ka raushan diya karen dil mein na ho khulus to be-sud hai miyan din-raat aap lakh ibaadat kiya karen 'shadan' qadam qadam pe ye deti rahi fareb hum zindagi ke sath kahan tak wafa karen