hai jumbish-e-mizhgan mein teri tir ki aawaz is tir mein hai said ki takbir ki aawaz mushtaq hun tujh lab ki fasahat ka wa-lekin 'ranjha' ke nasibon mein kahan hir ki aawaz tu khusraw-e-khuban hai ki le hind sin ta rome pahunchi hai tere husn-e-jahangir ki aawaz hairat ke maqamat mein qanun-e-nawa nahin hai saz-e-khamoshi lab-e-taswir ki aawaz diwane kun mat shor-e-junun yaad dilao hargiz na sunao use zanjir ki aawaz pita hun judai mein teri ghunt lahu ki sun ghuncha-dahan aashiq-e-dil-gir ki aawaz ai jaan-e-'siraj' aa ke patangon ki khabar liyo sun jao mere nala-e-shab-gir ki aawaz