qayamat hai jo aise par dil-e-ummid-war aae jise wade se nafrat ho jise milne se aar aae meri be-tabiyan chha jaen ya-rab un ki tamkin par tadapta dekh lun aankhon se jab mujh ko qarar aae mita dun apni hasti khak kar dun apne-ape ko meri baaton se gar dushman ke bhi dil mein ghubar aae ijazat mangti hai dukht-e-raz mahfil mein aane ki maza ho shaikh-sahib kah uthen be-ikhtiyar aae khuda jaane ki wo 'bekhud' se itne bad-guman kyun hain ki har jalse mein farmate hain dekho hoshiyar aae