subh qayamat aaegi koi na kah saka ki yun aae wo dar se na-gahan khole hue qaba ki yun gauhar-e-nab-suda ko zulf mein mat dikha ki yun meri kamand-e-shauq mein raat ke waqt aa ki yun kyun ki jhuke nasim se soche thi nargis-e-chaman dekh ke chashm-e-naz ko aane lagi haya ki yun chahte the shuhud mein ghaib ka rang dekhna meri zi-khwesh-e-raftagi ban gai rahnuma ki yun sahw thi waz-e-khastan bistar-e-aish-e-wasl se dekh ke un ki shokhiyan fitna hua bapa ki yun dida-e-ahl-e-ishq hai nur-e-nigah se tahi aae wo farsh-e-naz par chhod ke kafsh-e-pa ki yun main ne kaha kanar-e-naz chahiye is ghamin se pur sun ke raqib-e-zisht ko pas bitha liya ki yun shoala-e-rashk-e-ghair se jal ke uthana jae tha dur charagh-e-bazm ne uth ke bata diya ki yun khun-e-shahid-e-ishq wo kahte the fash kaise ho rang-e-gul-ezar se surkh hui hawa ki yun us kaf-e-pa ke bose ki kab mujhe rah yaad thi badraqa-e-talab hui jurat-e-sang-e-pa ki yun rizq nahin hai bin talash kahti thi tangi-e-maash gardish-e-sang-e-asiya dene lagi sada ki yun us ke khiram-e-shauq se pis gai khalq kis rawish mit gai baad-e-tund se surat-e-naqsh-e-pa ki yun sai-e-tariq-e-shauq se fitne ko aagahi nahin us ki jilau mein daude se saya barhana-pa ki yun shab ko numu-e-rang se khanda-e-gul ka zikr tha nashw-o-numa-e-husn se tukde hui qaba ki yun nargis-e-mahwishan se puchh gardish-e-asman se puchh surma hue wafa-sarisht kya kahen ai khuda ki yun san-e-gulshan-e-iram main ne kaha ki hae hae dar pe us anjuman se dur qatl mujhe kiya ki yun main ne kaha nasim se chatke hai ghuncha kis tarah kunj-e-dahan-e-tang se bose ne di sada ki yun rekhta rashk-e-farsi us se na ho saka bayan mahfil-e-urs-e-'mir' mein sher mere suna ki yun