hai justuju agar isko idhar bhi aaega

hai justuju agar is ko idhar bhi aaega
nikal pada hai to phir mere ghar bhi aaega

tamam umr kategi yunhi sarabon mein
wo samne bhi na hoga nazar bhi aaega

jo gham hua hai nae shahar ke makanon mein
wo dekhne ko kabhi ye khandar bhi aaega

rachi hai mere badan mein tamam din ki thakan
abhi to raat ka lamba safar bhi aaega

zara si der mein har shai chamak uthegi 'nasim'
sahar hui hai to nur-e-sahar bhi aaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close