waraq waraq ye fasana bikharne wala tha bacha liya mujhe us ne mein marne wala tha shagufta phul pareshan hua to gham na karo ki wo to yun bhi hawa mein bikharne wala tha main us ko dekh ke phir kuchh na dekh paunga ye hadisa bhi mujhi par guzarne wala tha sada-e-sang ne mujh ko bacha liya warna main is pahad se takra ke marne wala tha main be-qusur hun ye faisla hua warna main apne jurm ka iqrar karna wala tha pahad sina-sipar ho gaya tha mere liye wagarna mujh mein samundar utarne wala tha