hai kaun kis ki zat ke andar likhenge hum nahr-e-rawan ko pyas ka manzar likhenge hum ye sara shahr aala-e-hikmat likhe use khanjar agar hai koi to khanjar likhenge hum ab tum sipas-nama-e-shamshir likh chuke ab dastan-e-lasha-e-be-sar likhenge hum rakkhi hui hai donon ki buniyaad ret par sahra-e-be-karan ko samundar likhenge hum is shahr-e-be-charagh ki aandhi na ho udas tujh ko hawa-e-kucha-e-dil-bar likhenge hum kya husn un labon mein jo pyase nahin rahe sukhe hue labon ko gul-e-tar likhenge hum hum se gunahgar bhi us ne nibha liye jannat se yun zamin ko behtar likhenge hum