hai koi mutrib na koi saz hai bas mera naghma meri aawaz hai aadmi ka kab koi hamraaz hai mera apna to yahi andaz hai ja hi pahunchunga kabhi manzil pe mein jazba-e-ulfat par-e-parwaz hai zindagi ko jaanta hun zindagi ye gham-e-dildar ka eajaz hai gham-zada dil rah gaya hai aur main ab na wo ghamze na wo ghammaz hai zindagi kya zindagi ka dost kya ek dushman dusra dam-baz hai hai shikast-o-rekht saman-e-junun aql-e-khud-bin mufsida-pardaz hai rahne de allah wale hain kahan tu bhi ai waiz zamana-saz hai 'khushtar' un ka banda-e-nachiz ban ye bhi to ek surat-e-eajaz hai