hum se na puchhiye ki kidhar dekhte rahe thi dekhne ki chiz jidhar dekhte rahe ahl-e-hawas ko did mayassar nahin hui jalwe ko un ke ahl-e-nazar dekhte rahe dekha to kaam ka koi din tha na raat thi hum zindagi ke sham-o-sahar dekhte rahe aati rahi hamin pe musibat tamam umr hum apni aah ka ye asar dekhte rahe din-raat ek jalwa-e-didar tha nasib hum raushni-e-shams-o-qamar dekhte rahe jalwa ba-waqt-e-did raha jazib-e-nazar hum hosh mein nahin the magar dekhte rahe nalon se aag si thi shab-e-gham lagi hui hum apne ghar mein raqs-e-sharar dekhte rahe ahl-e-nazar kahan thi hamari nazar kahan hum bazm mein kahan the kidhar dekhte rahe lutti rahi jahan mein 'khushtar' ki zindagi hum the ki us ko sham-o-sahar dekhte rahe