hath khali hai koi kankar utha aankh se thahra hua manzar utha khamushi ka tantana hai har taraf shor ye kaisa mere andar utha kya nahin rakkha tha mere samne phir bhi sajde se na mera sar utha ab bhi mala-mal hai mera hunar samne se mere sim-o-zar utha main bahut nadim hun apne kaam se meri mitti se naya paikar utha main bhi dekhun mera qatil kaun hai dhak na de mera badan chadar utha