hai mere pesh-e-nazar chand si surat teri gul khilaegi kisi roz mohabbat teri bar ulfat ka na uthta kisi aashiq se magar roz deti hai ilahi ise qudrat teri chashm-e-maqtul ko dekha to kaha qatil ne jaegi ta-ba-lahad sath ye hasrat teri yas-o-arman-o-tamanna se na ghabra aashiq rah-e-ulfat mein badhaengi ye himmat teri barkaten kis ke qadam ki hain dil-e-zar bata roz badhti hi chali jati hai wusat teri kis ne roka hai tujhe kyun nahin aati hai qaza roz ushshaq kiya karte hain minnat teri ja-ba-ja tere sabab se main ruka jata hun aaj daman mein kiye deta hun fursat teri shaq hai teri judai dil-e-gham-ghin mujh ko le chali su-e-bayaban mujhe wahshat teri kibr-o-nakhwat hai ye kis chiz pe batla wo mujhe khak hai teri bina kya hai haqiqat teri saikdon jurm pe bhi rizq mujhe deta hai ye inayat ye mohabbat ye murawwat teri hae afsos 'jamila' ye hua haal tera ab to dekhi nahin jati hai musibat teri