kahin rukne lagi hai kashti-e-umr-e-rawan shayad zamin chhune lagi hai ab ke hadd-e-asman shayad mujhe us ne talab farmaya hai maidan-e-hasti se use phir yaad aaya hai koi kar-e-jahan shayad ubharti aa rahi hai ek duniya aur hi koi makan ke sath milta ja raha hai la-makan shayad badal dekhun charagh-e-shauq se main bhi charagh apna mere ghar se nikal jae isi surat dhuan shayad kiran thahri nahin hai khwab ke parde mein bhi aakar khuli hi rah gai thin khwab mein bhi khidkiyan shayad chalo main bhi koi sauda karun is bar-e-hasti ka khuli ho baam-e-hast-o-bud par us ki dukan shayad mere aur us ke bich ek dhund si maujud rahti hai ye duniya aa rahi hai mere us ke darmiyan shayad