hai nigahban rukh ka khal-ru-e-dost hafiz-e-quran hua hindu-e-dost hum na hon patthar ho hum pahlu-e-dost aaina lute bahaar-e-ru-e-dost phir gai jab nargis-e-jadu-e-dost sab musalman ho gae hindu-e-dost bha gai hai dil ko aisi khu-e-dost aati hai har gul se mujh ko bu-e-dost hai khayal-e-ariz-o-gesu-e-dost gah musalman hun kabhi hindu-e-dost sau balaen aa gain ushshaq par jab kamar tak aa gae gesu-e-dost haddiyan meri na khana ai huma dant rakhte hain sagan-e-ku-e-dost aag bhadke kyun na pahlu mein mere ghair hain wan aaj hum pahlu-e-dost asl ye hai naql-e-mehrab-e-haram sajda wajib hai tah-e-abru-e-dost tegh-e-abru par kate lakhon gale ban gaya ganj-e-shahidan ku-e-dost dil hua maftun nigah-e-yar ka sher-afgan hain magar aahu-e-dost baad-e-murdan qabr mein aathon pahar aaega mujh ko khayal-e-ru-e-dost phir raha hai aaj putli ki tarah meri aankhon mein qad-e-dil-ju-e-dost hai khayal-e-khal-e-mushkin raat din dil ko mere jaan lo mushku-e-dost ab wahi sar hai ki takraata hun main wasl mein ye tha sar-e-zanu-e-dost kya koi aafat abhi baqi hai aur le chala hai dil mujhe phir su-e-dost le udi be-sakhta dil ko mere aa gai jis dam hawa-e-ku-e-dost rang-e-ulfat se mita zang-e-dui ho gai hai mujh mein paida bu-e-dost ghairat-e-mansur hun main ai 'habib' har ghadi hun sarf-e-ha-o-hu-e-dost