khak ne apna tasallut tha jamaya jis dam main ne aflak ko sochon se uthaya jis dam mere atraf bhi kohram ka baadal barsa main ne ek shakhs ko kuchh der hi socha jis dam rabta tut ke hairani talak aa pahuncha ek apna mera aghyar mein baitha jis dam waqt to aan hi pahuncha tha tere wasl ka bhi silsila sans ka us ruh se tuta jis dam meri aawaz mere pas palat aai thi main ne tanhai mein apnon ko pukara jis dam ro pada ped kisi dard ki lai ko le kar ek parinde ne hari shakh ko nocha jis dam dil mera kosta rahta hai usi pal ko 'huma' ek patthar se bane but ko tha puja jis dam