husul-e-azmat-e-mazi ka khwab rakhte hain kahan hum aaj bhi apna jawab rakhte hain jo haq aziz-o-aqarib ka dab rakhte hain wahi zamin pe bina-e-azab rakhte hain lawen tum apne charaghon ki apne pas rakho hum apne sath kai aaftab rakhte hain mere karim teri rahmaton ke sadqe mein gunahgar umid-e-sawab rakhte hain khayal pursish-e-amal ka nahin hai unhen jo zer-daston ko zer-e-itab rakhte hain khayal-e-yar gham-e-rozgar fikr-e-maash hum ek jaan ko kitne azab rakhte hain kab un ke samne kaam aai apni laffazi wo har sawal ke sau sau jawab rakhte hain