har gam pe hairat ka naya bab khula hai

har gam pe hairat ka naya bab khula hai
tabir pareshan hai kya khwab khula hai

ojhal hue aankhon se to puchha na kisi ne
andaz-e-rukh-e-pursish-e-ahbab khula hai

hum log mohabbat ke rawadar na hote
takhir se hum par dil-e-betab khula hai

honton pe laga qufl-e-khamoshi nahin tuta
sunte hain yad-e-mausam-e-ijab khula hai

basti se guzarta hai to basti nahin rahti
kin aankhon se ye chashma-e-sailab khula hai

pahchan ke sine se lagaya use hum ne
qatil ki tarah chehra-e-girdab khula hai

lagta hai chhalak jaega ab jam-e-tamanna
is bar jo paimana-e-asab khula hai

jaisa bhi hai waqt ab na rukenge 'ali-yasir'
chalte hain ki darwaza-e-mahtab khula hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close