sanson ke is hunar ko na aasan khayal kar zinda hun saaton ko main sadiyon mein dhaal kar mali ne aaj kitni duaen wasul kin kuchh phul ek faqir ki jholi mein dal kar kul yaum-e-hijr zard zamanon ka yaum hai shab bhar na jag muft mein aankhen na lal kar ai gard-baad laut ke aana hai phir mujhe rakhna mere safar ki aziyyat sambhaal kar mehrab mein diye ki tarah zindagi guzar munh-zor aandhiyon mein na khud ko nidhaal kar shayad kisi ne bukhl-e-zamin par kiya hai tanz gahre samundaron se jazire nikal kar ye naqd-e-jaan ki is ka lutana to sahl hai gar ban pade to is se bhi mushkil sawal kar 'mohsin' barahna-sar chali aai hai sham-e-gham ghurbat na dekh is pe sitaron ki shaal kar