khwab sahra teri tabir nikal aai hai koi wahshat hai ki jagir nikal aai hai shakh-e-mizhgan ke parinde hain ye aansu goya aab-o-dana liye taqdir nikal aai hai khun ubalta hai nikalta hai dhuan aankhon se dekh pani ki ye tahrir nikal aai hai shahr is tarah bayaban mein gira hai jaise waqt ke panw se zanjir nikal aai hai zindagi tujh ko magar sharm nahin aati kya kaisi kaisi teri taswir nikal aai hai raat hai jism hai bistar hai falak pahlu mein chand nikla hai ki shamshir nikal aai hai tez lahron mein salamat nahin koi 'khurshid' kis tarah hasrat-e-tamir nikal aai hai