kuchh aur bhi ziyaada sanwar ke dikhaunga ai zindagi tere liye mar ke dikhaunga tughyaniyan to rakht-e-safar hain mere liye sahil pe ek roz utar ke dikhaunga kab tak samet rakkhun sharar-e-junun ko main jangal ki aag hun to bikhar ke dikhaunga khwahish se kab ye hath falak tak pahunchta hai jo kah raha hun main use kar ke dikhaunga sara safar faqat nahin sae ke waste shakh-o-gul-o-samar bhi shajar ke dikhaunga