har sans jo aati hai sitamgar qafas mein khinche hai meri jaan sar-e-dar qafas mein dekhe bhi to kya apni masihai ka anjam jhanke bhi to kya nargis-e-bimar qafas mein atraf hain taqat ke takabbur ki salakhen zalim hai khud apna hi giraftar qafas mein par katne wale ko ye malum nahin hai rukte hain kahin azm ke par-dar qafas mein ye phul hain ye sabza hai ye baad-e-saba hai arman sanjo lae hain ghar-bar qafas mein aazadi bhi hazir hai to parwaz bhi maujud khwabon ne laga rakkha hai darbar qafas mein sayyaad hamein teri khudai bhi thi taslim hota jo tasawwur bhi giraftar qafas mein