jo tujhe paikar-e-sad-naz-o-ada kahte hain qadr-dan husn ke ye baat baja kahte hain us ke chehre ki ziya se hai chamak suraj ki us ki bikhri hui zulfon ko ghata kahte hain wo jo aankhon se pilae to chalo pi lenge waise hum pine pilane ko bura kahte hain surkh hathon ki haqiqat to hami jaante hain jo nahin jaante wo rang-e-hina kahte hain baat achchhi hi wo karte hain hamare haq mein jo hamare liye kahte hain baja kahte hain sakht pathrili zamin par bhi khilate hain gulab sher hum kahte hain aur sab se siwa kahte hain ye riwayat hai zamane ki nai baat nahin hoti aai hai ki achchhon ko bura kahte hain aaj gahware mein baithe hain sabhi ahl-e-adab is faza hi ko mohabbat ki faza kahte hain hum ne ki mashq-e-sukhan misra-e-'ghaalib' pe 'nadim' log is bare mein ab dekhiye kya kahte hain