main faizyab-e-gardish-e-saghar nahin hua kyun ai nigah-e-dost ye kyun-kar nahin hua har ashk-e-khun mein gauhar-e-yakta ki aab ho wo ishq kya jo husn ka zewar nahin hua kyunkar lutai dil ki ye main ne mohabbaten kuchh gham nahin jo koi shanawar nahin hua bazi hamesha dil hi mohabbat mein le gaya ek marka bhi tum se koi sar nahin hua ek gardish-e-mudam ne ghere rakha mujhe ek lamha-e-sukun bhi mayassar nahin hua kaifiyyat-e-hayat se waqif nahin hai wo jis ko niyaz-e-ishq mayassar nahin hua ye raaz apni mast nigahon se puchh lo kyun dil rahin-e-minnat-e-saghar nahin hua fitrat hi khud azal se hai sar-gufta-e-wafa ai khizr koi ishq ka rahbar nahin hua 'faiq' tamam raat kharab-e-fughan raha lekin asar zara bhi kisi par nahin hua