har ghadi mat ruth us se pher pal mein mil na ja gar bhala manas hai us kuche mein tu ai dil na ja awwal-e-ishq un buton ka lutf hai dam-e-fareb us ki mehr-o-dilbari par ai dil-e-mail na ja tegh-e-kin se khak-o-khun mein kar liya hae mujhe raqs-e-bismil ka tamasha dekh ai qatil na ja ham-sari ka us qad-e-mauzun se tu dawa na kar apni had se bahar ai shamshad-e-padar-gil na ja ishq ke ku mein ki hai ja-e-malamat be-khabar aana phir wan se salamat hai bahut mushkil na ja zahida rindon ki gustakhi ko khatir mein na la hum se diwanon ki baaton par tu ai aaqil na ja hath malta hi raha 'hasrat' dil us ko de ke haif hath se aisi tarah ya-rab kisi ka dil na ja