masjid mein bhi jata hun to mai-khana samajh kar har zarf-e-wazu leta hun paimana samajh kar le bosa-e-zulf ai dil-e-farzana samajh kar uljhen na kahin tujh se wo diwana samajh kar lau shama-rukhon se na laga ai dil-e-nadan aashiq ko bulate hain wo parwana samajh kar gardish meri qismat ki tujhe chain na degi ai charkh mujhe pis na tu dana samajh kar allah re tajahul mujhe dekha jo sar-e-bazm munh pher liya yar ne begana samajh kar aane ko to aae wo mere khana-e-dil mein dam bhar bhi na thahre yahan virana samajh kar kis darja ta'alluq hai mere dil ko buton se kaba mein bhi jata hun to but-khana samajh kar dilchasp kuchh aisa hai ki dushman ki zaban se sunte hain mera zikr wo afsana samajh kar dete to ho dil us but-e-be-mehr-o-wafa ko lekin zara ai 'sabir'-e-farzana samajh kar