shahr mein ruk sa gaya kar-e-jahan tere baad

shahr mein ruk sa gaya kar-e-jahan tere baad
kya bataun ki gaya kaun kahan tere baad

chikhte phirte hain sannate khuli sadkon par
na raha koi bhi aabaad makan tere baad

aankh se aath pahar ashk mere bahte hain
dil se uthne laga rah rah ke dhuan tere baad

har taraf baat teri yaad teri fikr teri
jag utthe teri furqat ke nishan tere baad

puchhna chahunga gar tu jo kahin mil jae
be-zaban ho gae kyon ahl-e-zaban tere baad

hasraten dil mein sulagti hain mere aakhir-e-shab
apne hone ka bhi baqi na guman tere baad

mubtala 'raj to hai dukh mein teri furqat ke
shahr mein kyon na raha amn-o-aman tere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close