hain aur kai ret ke tufan mere aage phailega abhi aur bayaban mere aage bahar nahin koi bhi meri had-e-nazar se makhfi hai koi koi numayan mere aage hasti meri sahra hai sarab us ka muqaddar aakhir use hona hai pasheman mere aage hun mil ke patthar ki tarah rahguzar mein manzil pe nazar rakhte hain insan mere aage tai ho na saki duri-e-manzil ye alag hai har mod pe raushan raha imkan mere aage kandhe pe mere bojh raha rakht-e-safar ka yun nikla kiye be-sar-o-saman mere aage jo sulh-o-safai mein hain pichhe abhi 'rahi' rahte hain baham dast-o-gareban mere aage