hum jaise tegh-e-zulm se dar bhi gae to kya kuchh wo bhi hain jo kahte hain sar bhi gae to kya uthti rahengi dard ki tisen tamam umr hain zakhm tere hath ke bhar bhi gae to kya hain kaun se bahaar ke din apne muntazir ye din kisi tarah se guzar bhi gae to kya ek makr hi tha aap ka ifa-e-ahd bhi apne kahe se aaj mukar bhi gae to kya hum to isi tarah se phirenge kharab-haal ye sher tere dil mein utar bhi gae to kya 'basir' tumhein yahan ka abhi tajraba nahin bimar ho? pade raho, mar bhi gae to kya