mitti ki surahi hai pani ki gawahi hai ushshaq nahin hum log par rang to kahi hai har ghuncha-e-lab darban har shakh sipahi hai sabze pe khincha naqsha aur surkh siyahi hai ek sanwli patjhad ke pushte pe tabahi hai udhdi hui qabron par katbon ki manahi hai ai kanch ki si pindli ye shahr-e-saba hi hai