hain dahan ghunchon ke wa kya jaane kya kahne ko hain shayad us ko dekh kar salle-ala kahne ko hain wasf-e-chashm o wasf-e-lab us yar ka kahne ko hain aaj hum dars-e-ishaaraat-o-shifa kahne ko hain aaj un se muddai kuchh muddaa kahne ko hain par nahin malum kya kahwenge kya kahne ko hain jo wo qad-qamat sada kahne ko hain aur aashiq wasf-e-qad-qamat tera kahne ko hain puchh aa qatil se to wo kab karega hum ko qatl aaj hum tarikh-e-marg aap ai qaza kahne ko hain main tere hathon ke qurban wah kya mare hain tir sab dahan-e-zakhm munh se marhaba kahne ko hain wo janaze par mere kis waqt aae dekhna jab ki izn-e-am mere aqriba kahne ko hain