muhit misl-e-asman zamin-e-fikr-o-fan pe hun sukut ka sabab hai ye maqam-e-la-sukhan pe hun faza-e-la-sabaat mein sara-e-be-jihat mein musafirana khanda-rez waqt ki thakan pe hun mere nasib ki sahar ghurub ho gai kahan nazar jamae der se teri kiran kiran pe hun sajaun wo chaman jinhen khizan kabhi na chhu sake teri tarah jo hukmaran shaguft har chaman pe hun aziz-tar hai tesha-e-hunar ghubar-e-dard se tariq-e-qais par nahin tariq-e-koh-kan pe hun hujum-e-sad-khayal se najat mil sake agar to hasidana mo'tariz kisi ki anjuman pe hun visal hi visal hai firaq ab muhaal hai main tere har libas ki tarah tere badan pe hun kisi ke shajra-e-sukhan se nisbat-e-sukhan nahin main aap apna muddai siyaadat-e-sukhan pe hun