ye ishq agar aisa pur-asrar na hota mansur kabhi koi sar-e-dar na hota zanjir-zani hoti na har sans mein meri dil dard ka aise jo alam-dar na hota phir chand nahin karta kabhi ashk-fishani gar tute sitaron ka azadar na hota kuchh rishton ko main sath kabhi rakh nahin pati mujh mein jo agar koi adakar na hota is dil mein tera aks farozan nahin rahta gar shisha mere dil ka chamakdar na hota main khud ko kai bar bana leti abhi tak gar lams mujhe tera ye darkar na hota gar us pe tera bhed khula hota ai saqi phir shaikh ko mai-khane se inkar na hota phir khak maza deta barasta hua sawan is rut mein agar hijr ka aazar na hota sad-shukr ki aibon pe mere parda pada hai kya hota agar mera wo sattar na hota har chand ki patthar hun magar tut rahi hun ai kash tu patthar ka talabgar na hota