hain mo'taqid-e-saqi yaran-e-haram kitne kabe se khumistan tak hain naqsh-e-qadam kitne waiz ka gila kya jab socha na barahman ne ek dil ke banane mein kaam aae sanam kitne us jaan-e-taghaful ki taklif-e-tabassum se aansu hue jate hain shaista-e-gham kitne namus-e-talluq ki saugand zara socho bargashta ho tum kitne warafta hain hum kitne pine ki nahin lekin laghzish ki parakh hogi ab dekhiye mahfil mein khulte hain bharam kitne ye baat bata kar hum kyon gham ko karen ruswa hain ahl-e-karam kitne hain ahl-e-sitam kitne arbab-e-alam aansu pite hi gae phir bhi dekho to zara 'jauhar' daman hue nam kitne